作词 : Anirudh Trivedi
作曲 : Anirudh Trivedi
Raat khaali hai,
aankhon mein hai yeh nami
Dil mein jo hai
Zubaan na bayaan kar saki
Jism ka hai na
Rooh se ab vaasta
Darbadar khojta apna
Maqsad yahaan
Manzil meri dhundli hoti chali
Khud se na ab main waakhif raha
Main hoon Gumshuda
Na jaana kahaa
Andar ek toofan
Badhta raha
Main hoon gumshuda
Bikhra pada
Andhero se kaisa
Niklu Bataa
Aisi tanhai se
Na kabhi tha vaasta
Aayi ek jhoke mein
Kar gayi sab kuch tabah
Yeh jahaan badhta raha / aage badha
Atka bas main yahaan
Meri har ek ibaadat
Ke Badle khamoshiyan
Manzil meri dhundhli Hoti chali
Khud se na ab main waakhif raha
Main hoon Gumshuda
Na jaana kahaa
Andar ek toofan
Badhta raha
Main hoon gumshuda
Bikhra pada
Andhero se kaisa
Niklu Bataa